- Hazrath Ali raziallahu taala anhu farmate hain ke:HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam farmate hain:
Main aur Mujh se pehle Ambiya ki Arfa ke din kasrat se yehi dua rahi hai:
لا اله الا الله وحده لا شريك له الملك وله الحمد وهو على كل شئ قدير،
اللهم اجعل في قلب نورا و في سمعى نورا و فى بصرى نورا اللهم اشرح لى صدرى و يسرلى امرى
اللهم انى اعوذبك من وساوس الصدر و فتنة القبر و شتت الامرى
اللهم انى اعوذبك عن شر مايلج في اليل و من شر ما يلج في النهار و من شر ما هبت به الريح و من شر بوائق الدهر.
(Al Ghunya Lit Taalibi Tariqi lil Haqqi,pg:399) - NABI E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jo kankariyan tum maarte ho, wo sab ALLAH TAALA ke yaha jama hojati hai, tum unko us waqt paouge jab ke tumhe unki sakht zarorat hogi.
(Tabarani)
- Sahaba Ekraam raziallahu taala anhum ne arz kiya:YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam ! Ye qurbaniya kya hain?
HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Tumhare walid Ibrahim Alaihissalaam ki Sunnat hai,
Sahaba Ekram ne arz kiya:
To isme hamare liye kya hai YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam?
HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Chote se baal ke badle ek azeem neki hai,
Sahaba Ekraam ne arz kya:
YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam ! Phir uoon ke baare me kya hukum hai?
HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Uoon ke chote se baal ke badle ek azeem neki hai.
(Sunan e Ibne Majah,hadith no:3247)