Aur ALLAH bahot bade FAZAL wala hai

Sabar Hadith
    • Aur ALLAH bahot bade FAZAL wala hai.(Surah Al Juma:4)
    • Jisne 10 martaba Surah e Ikhlaas padha, ALLAH TA’LA Jannat me uske liye ek mahel banata hai.(Musnad Imaam Ahmed)
    • Apne aqlaq ko phool jaisa banalo, paas baithne wala kuch hasil na bhi kare to khushboo to hasil karle.(Hazrath Sheik Saadi rahmatullah alaih)
    • Nemat ka milna bhi azmaish hai ke tum shukar adaa karoge ya nahi.Alhumdulillah
    • Dunyadaari naam hai Allah se ghafil hone ka, Zaruriyaat e Zindagi aur baal bacchon ki parwarish karna dunyadari nahi hai.(Hazrath Sheik Saadi rahmatullh alaih)
    • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam se Aouliya Allah ke bare me pucha gaya to Aap ne Irshaad farmaya:Wo log jinhe dekhne se ALLAH yaad aajaye.(wo aouliya Allah hain).(Sunan e Nasai,hadith no:11235)

      4 Qul Surah

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:ALLAH TA’LA irshaad farmata hai:Jo log meri azmat aur jalaal ki wajeh se aapas me mohabbat rakhte hain,

    qayamat ke din unke liye aise noor ke member honge,

    jin par ambiya aur shuhada bhi rashk karenge.

    (Jame Tirmizi,Hadith no:2390)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *