- Jis ne 5 namazon ki Hifazat ki usko ALLAH TA’LA 5 Batien ATAA farmayega:
1) MOUT ki saqti se NAJAAT
2) QABAR ke Azaab se REHAYI
3) HASHR ke din Naam e Aamaal ka DAHINE HAATH (yane right hand) me milna
4) PUL SIRAT par se bijli ki tarah GUZAR JANA
5) BILA HISAAB JANNAT me DAKHIL hona.
(Mawaa’iz e Hasana ,vol:01,pg:353)
- Har cheez apne sahi waqt pe hi hasil hoti hai to chahye ke yaqeen aur sabar se kaam le, Beshak ALLAH Sabar karne walon ko pasand farmata hai…
Namaz Ki Fazilat :
- “Aur Namaz Qaim Karen Meri Yaad K Liye” (Surah Taha 14)
- “Beshak Namaz Behayai Aur Buri Baton Se Rokti Hai” (Surah Al-Anqaboot 45)
- “Yaqeenan Wo Momineen Falah Paa Gay Jo Apni Namazo Me Khushoo Ikhtiyar Karte Hain” (Al-Momnoon 1,2)
- “Aur Wo Jo Apni Namazo Ki Hifazat Karte Hain Yahi Log Janat Me Izat Paye Gay” (Al-Maraaj 34,35)
- “Aur Allah Ne Farmaya K Beshak Main Tumhare Sath Hon Agar Tum Namaz Qaim Karo Gay” (Al-Maida 12)
- “Aur Sabar Aur Namaz Se Madad Hasil Karen” (Al-Baqra 45)
- “Aur Tum Taqwa Ikhtiyar Karo Aur Namaz Qaim Rakho Aur Tum Shirk Karnay Walo Mein Se Na Ho” (Al-Roum 31)
Yahan Aik Baat Note Karne Wali Hai, Namaz Susti Aur Kahli Aur Musrufiyat Rokti Hai Aur Teesara Shetaan. Agar Koi Shakhs Allah Jala Shana K Hukam Ko Chor Kar Susti Aur Kahli Aur Shetaan Ka Hukam Manta Hai To Wo Bhi Shirk Ho Jay Ga. - “Namazo Ki Hifazat Karen Aur Khusosan Darmiyan Ki Namaz Poori Pabandi K Sath Adda Karte Raho Aur Allah K Agay Adab Se Kharay Raho” (Al-Baqra 238)
- “Aur Namaz Qaim Karo Aur Zakat Diya Karo Aur Allah(Allah Jala Shana K Agay) Ruku Karo Ruku Karne Walo K Sath” (Al-Baqra 43)
- “Pas In Namaziyo K Liye Kharabi Hai Jo Namazo Say Ghafil Hain” (Al-Maoon 4,5).Ab Namaz Ki Fazilat Ahadees Ki Roshani Mein Dekhte Hain:
- “Namaz Mein Shifa Hai” (Musnad Ahmed,Tarteeb Sharif)
- “Admi Ki Namaz Is K Dil Ka Noor Hai” (Tarteeb Sharif)
- “Namaz Meri Ankhon Ki Thandh Hai” (Tibrani,Tarteeb Sharif)
- “Namaz Lazam Hai Kyu K Ye Afzal Jihad Hai Aur Gunaho Ko Tark Kar Dena Afzal Hijrat Hai” (Tarteeb Sharif)
- “Namaz Her Mutaqi K Liye Allah Jala Shana Se Qurb Ka Zariya Hai” (Tarteeb Sharif)
- “Namaz Momin Ki Meraaj Hai”
- Namaz Se Gunah Aesey Girtay Hain Jaisey Khizan Me Khushk Patay Darakht Se Girtey Hain” (Musnad Ahmed)
- “App ﷺ Ko Jab Koi Sakht Amar Paish Ata Tha To App ﷺ Namaz Ki Taraf Furan Mutawaja Hote The” (Musnad Ahmed,Abu Dawood)
- “Admi Aur Shirk K Darmiyan Namaz He Haa’il Hai” (Fazal E Amal)
- “Allah Jala Shana Ne Koi Cheez Iman Aur Namaz Se Afzal Farz Nahi Ki”
- “Namaz Adda Karne Se Shetaan Ka Moun Siya Ho Jata Hai”
- “Janat Ki Kunjiyaan Namaz Mein Hain”
- “Hamaray Aur Kafiroon K Darmiyaan Jo Waqeyi Farak Hai Wo Namaz Parhany Aur Na Parhany Ka Hai,Pas Jisne Namaz Chor Di Isne Kufar Ka Kam Kiya”Ye Thi Kuch Ahadees, Agar Main Sirf Akhari Biyan Ki Hoi Hadees Ki Baat Karo To Ap Dekh Len K Agar Hum Namaz Nahi Parhte To Kufar Ka Kaam Karte Hain.Namaz Farz Ki Gai Hai Aur Iska Parhna Lazim Hai,Allah Jala Shana Humay Namaz Parhne Ki Tofiq Atta Farmayen,Ameen.