- Hazrath Anas raziallahu taala anhu farmate hain:
Meri walida mujh ko HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ki qidmat e Aqdas me lakar hazir hui, aur arz kiya:
YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam! Ye Anas mera beta hai, Main aapke paas isko Aapki qidmat ke liye laayi ho, Aap ALLAH TAALA se iske liye Dua farmaye:
NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
Aye ALLAH iske maal aur Aoulaad ko zyada farmade!Hazrath Anas raziallahu taala anhu bayan karte hain:
ALLAH ki Qasam! Mera maal bahut zyada hai, aur aaj meri aoulaad aur aoulaad ki Aoulaad 100 ke qareeb hai.
(Sahih Muslim,pg:298)
- Hazrath ANAS radiallahu taala anhu farmate hain:
Main ne Hazrath NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ke Dast e Aqdas se zyada Narm koi resham nahi chuwa.
(Sahih Bukhari,Hadith No:3561)
- NABI E kAREEM Sallallahu aliahi wasallam ne irshaad farmaya:
Mai Tamaam Maqlooq Ki Taraf Risaalat Ki Shaan Ke Saath Bhaijha Gaya Hun,Aur Mujh Par Nabuwat Ke Silsile Ku Khatam kardiya Gaya.
[Sahih Muslim,Hadees No:1195]
- Apne Rab se hamesha achi umeed rakho, Us Zaat se jaisi umeed rakhoge waisa hi hasil hoga.
- Hazrath Imaam Zain ul Abeden raziallahu taala anhu jab kisi aise shakhs ko dekhte Jo bimari se shifa yaab hochuka hota tha to Aap us se farmate:
Tumhe gunahon se pakizgi Mubarak ho Ab naye sire se Aamaal karo.
Allah ta’ala ke siva aur kaar saaz muqarrar kar rakhe hain, un ki misaal makhdi ki si hai, ke wo bhi ek ghar bana leti hai, halaan ke tamaam gharon se ziyada bodha ghar makhdi ka ghar hee hai, kaash! Allah ta’ala un tamaam chizo ko jaanta hai jinhe wo us ke siva pukaar rahe hain, wo zabardast aur zee hikmath hai.