- HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Aye FATIMA! Kya tum nahi chahti ke tum tamaam jahano ki Aourton, Meri is Ummat ki Tamaam Aourton ki, aur Mominen ki Tamaam Aourton ki SARDAAR HO!
(Mustadrak,Hadith no:4740) - Hazrath Umar Bin Khattab Raziallahu taala anhu ke zamane me log 23 Rakaat (20 Rakaat Taraweeh aur 3 Rakaat witar ) padhte the.
(Muwatta Imaam Malik, Hadith No:251) - Aye Imaan walo ! ALLAH TAALA se Daro! Jis tarah us se darne ka haq hai aur Islaam ki halat par hi Duniya se rukhsat hojao.
(Surah Aale Imran:102)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :
Jab tum me se koi ghar se wuzu karke aaye , To Ghar Loutne tak use Namaz ka sawaab milta rehega.
(Mustadrak ,hadith no : 744)
- Hazrath Jaber raziallahu taala anhu ne farmaya:Hamare qabile ke ek saheb ko ladka tawallud hua, to unho ne Arz kiya ke is ladke ka kya naam rakha jaye?
HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Mujhe Sab se zyada Mahboob jo naam hai wahi is ladke ka naam rakha jaye!
(Mujhe sab se pasandida naam )” HAMZA BIN ABDUL MUTALLIB ” raziallahu taala anhu ka hai.
(Al Mustadrak Alas Sahihen,hadith no:4876)