- Jab banda ALLAH TAALA ki ita’at karta hai to ALLAH TAALA usse Mohabbat karta hai,
aur jab ALLAH TAALA us se Mohabbat farmata hai to use apni maqlooq ke paas bhi mahboob banadeta hai.
(Hazrath Abu Darda raziallahu taala anhu)
- Aye logo! ALLAH ka zikr kiya karo ke isme shifa hai.
(Hazrath Umar e Farooq raziallahu taala anhu)
- ALLAH Jise chahta hai apni rehmat ke liye chunleta hai aur wo bada fazal farmane wala hai.
(Surah Al Baqarah:105)
- Qayamat ke din na to tangdasti ka wazan hoga aur na maaldari ka waha sirf sabar aur shukar ka wazan hoga.
(Hazrath yahiya bin muaaz rahmatullah alaih)
- Hazrath vaeil bin hajar raziallahu taala anhu bayan karte hain ke Main ne NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam se musafeha kiya ya mera jism aapke badan e aqdas se mas hogaya to main apne hatou me 3 din baad bhi mushk ki khushboo mahsoos karta tha.
(Tabrani Kabeer, hadith no:17536)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Momin ko is shaan par khush hona chahye ke uske har haal me khair hai, aur ye maqaam iske alawa kisi ko hasil nahi,
Agar wo nematou ke milne par shukar kare to use sawaab milta hai aur agar wo musibat aane par sabar kare tab bhi use sawaab milta hai.
(Sahih Muslim,hadith no:2999)