- Jab ALLAH TAALA ne Hazrath IBRAHIM Alaihissalaam ko hukum farmaya ke logon me Haj ka Elaan karen to aap abu qubais naami ek pahad par chade aur apni mubarak ungliyou ko apne kanou me rakha aur Nida di:Beshak ALLAH TAALA ne tum par Haj Farz kiya hai to tum apne parwardigaar ki dawat par Labbaik kaho! “To aapki us nida par logou ne mardou ki pushtou aur aurtou ke shikmou se talbee padhte hue us dawat ko qubool kiya,
aur sab se pehle yaman walou ne aapki dawat par Labbaik kaha,
aur us din se qayamat tak jo koi haji haj karta hai to ye wahi khushnaseeb hai jis ne us waqt Hazrath IBRAHIM Alaihissalaam ki dawat par Labbaik kaha tha.
(Al Durrul Mansoor,Surah Al Haj:27)
- Jab Hazrath IBRAHIM Alaihissalaam khana e Kaaba ki tameer se Farigh hue to ALLAH TAALA ke Darbaar me Maroza kiya:Ilaahi! Mai Tameer se farigh hochuka ho, to ALLAH TAALA ne Hukum farmaya: ” logon me Haj ka elaan karo !”Unho ne Arz kiya:
Ilaahi ! Meri Awaaz kaise phunchegi?Irshaad farmaya:
Awaaz dena tumhara kaam hai aur phunchana hamare zimme hai.Unho ne Arz kiya:
Parwardigaar ! Mai kis kalimaat se elaan karo?Irshaad farmaya:
Is tarah kaho! ” Aye logo! Tum par haj farz kiya gaya, muaz’zaz wo mukarram ghar Kaabatullah ka haj tum par farz kiya gaya”To zameen wo Aasmaan ke darmiyan jitni maqlooq thi sab ne Aapki Awaaz suni,
Yehi wajeh hai ke tum dekhte ho ke hujjaaj zameen ke kone kone se Labbaik Labbaik kehte hue Haj ke liye aate hain.
(Mustadrak Alas Sahihen, Hadith no:3421)