- Hazrath Umar e Farooq raziallahu taala anhu ne Dua farmayi:
AYE ALLAH ! to mujhe apni rah me shahadat naseeb farma, aur apne Habeeb ke shaher e Muqaddas me mujhe Wisaal ataa farma.
(Sahih Bukhari,Hadith no:1890)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jo shakhs aisi namaz padhta hai ke jisme Mujh par aur Meri Aal par Durood na padhe uski namaz qubool nahi ki jati.
(Sunan e Dar e Qutni,Hadith no:1359)
- Hasad karne wale ke liye yahi saza kaafi hai ke jab tum khush hote ho to wo ghamgeen hojata hai.
(Hazrath Ali raziallahu taala anhu)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Meri SUNNAT ko us waqt Mazbooti se Thaame rakhne wale ke liye SHAHEED ke barabar sawaab hai.jabke Meri Ummat Fasaad me mubtala hogayi ho.
(Al Moujamul Aousat,Hadith no:5414)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Azaan aur Iqamat ke darmiyan jo dua bhi maangi jaye wo rad nahi hoti.
(Sunan e Abu Dawood,Hadith no:521)