Azaan sunkar wahi kalimaat kaho jo muaz’zin kehta hai

Azan
  • Sabar karne wale hamesha kamiyaab hote hain isliye tumhe chahye ke sabar karen.

    (Hazrath khawaja Usman haroni rahmatullah alaih)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Jab koi qoum ALLAH TAALA ke Zikr ke liye baithti hai, to farishte unko gher lete hain, Aur Rehmat unko dhaanp leti hai, aur ALLAH TAALA Farishtou ke saamne unka zikar farmata hai.

    (Sahih Muslim,hadith no:6855)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Azaan sunkar wahi kalimaat kaho jo muaz’zin kehta hai.

    (Jame Tirmizi,vol:1)

  • NABI E KAREEM Sallallahu Alaihi wasallam ne Irshaad farmaya:

    Raat ko ek aisi ghadi bhi aati hai jis me koi musalmaan Allah Taala se dunya wo aakhirat ki koi bhi bhalayi maange to Allah Taala use wo ataa farmata hai aur ye ghadi har raat aati hai.

    (Sahih Muslim,Hadith No:757)

  • (Aye Habeeb !sallallahu alaihi wasallam) aap farmadijiye:

    Agar tum ALLAH se Mohabbat karte ho to meri pairwi karo tab ALLAH tumhe apna mahboob banalega aur tumhare gunah maaf farmadega, Aur ALLAH nihayat hi baqshne wala meharban hain.

    (Surah Aale Imraan:31)

  • Aur NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki Mohabbat ki nishani Aapki Itteba aur Aapki Sunnat par amal karna hai.

    (Hazrath Urwatul Wusqa Rahmatullah Alaih)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Jisne meri mohabbat ki khatir aur mere ism se barkat hasil karne ki niyyat se apne bacche ka naam MOHAMMED rakha to wo aur baccha dono JANNAT me dakhil honge.

    (Ruhul Bayaan,Pg:184)

  • Momin pareshaniyon aur mushkilou par sabar kiye bagair Imaan ki mithas ko nahi paasakta.

    (Hazrath Junaid Baghdadi rahmatullah alaih)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Jab tum ALLAH se maango to JANNAT UL FIRDOUS ko maango,

    kyun ke wo jannat ka sab se afzal aur baland darja hai,

    uske upar RAHMAN ka arsh hai.

    aur usi se jannat ki nehren nikalti hai.

    (Sahih Bukhari,Hadith no:7423)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *