- Agar tum hamesha ba Wuzu rehne ki istea’at rakho to aisa hi karo kyunke Malakul Mout jis bande ki rooh Wuzu ki halat me qabz karte hain uske liye shahadat likh di jati hai.(Kanzul Ummal,Hadith no:26060)
- Halaal Giza Aakhirat ke kamon me raghbat aur Ita’at e Ilahi se Mohabbat paida karti hai, jis se Qurb e khusawandi Naseeb hota hai.(Hazrath Ghouse Azam raziallahu taala anhu)
- Hazrath ANAS Raziallahuanhu farmate hai:HUZOOR E PAAK Sallallahu alaihi wasallam se jo bhi cheez maangi gayi AAP ne Ataa farmadi,
ek saheb Aapki qidmat babarkat me hazir hue ,Aap ne unhe 2 pahadon ke darmiyaan ki saari bakriyan ataa farmayi,
Wo apne qabile me wapas hue aur unse kehne lage,
Aye logo! Tum Islaam Qubool karlo:
Kyun ke HAZRATH SYEDUNA MOHAMMED MUSTAFA Sallallahu alaihi wasallam is qadar ataa farmate hain ke faqe ka qouf nahi rehta.
(Sahih Muslim,vol:2,pg:253)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:3 Aise Khushnaseeb hain jo Qayamat ke din Arsh ke saye ke niche honge, jis din siwaye Arsh ke saye ke koi saya na hoga. Arz kiya gaya;
YA RASOOLALLAH ! Sallallahu alaihi wasallam wo kaoun honge?
Aap Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:1) JIsne kisi mere Ummati ki takleef ko dur kiya,
2) Jisne meri sunnat ko zinda kiya,
3) AUR JISNE MUJH PAR KASRAT SE DUROOD BHAIJHA.(Al Qawl ul Badee,pg:232)