- Jab do musalmaan aapas me milte hain aur musafaha (handshake) karte hai to un dono ke juda hone se pehle unko baqsh diya jata hai.(Jame Tirmizi)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jo shakhs Meri is Masjid me is garz se aaye ke Neki karega, Neki sikhega ya sikhayega, to uska martaba itna baland hoga jitna ke Raah e Khuda me jihaad karne wale ka martaba hota hai.
(Sunan e Ibne Majah)
- HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Baat karne se pehle salaam karna chahye.
(Jame Tirmizi)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Chota aadmi bade aadmi ko salaam kare aur guzarne wala baithe hue ko aur thode log zyada logon ko.
(Sahih Bukhari)
- Ache logon ki ek khubi ye hoti hai ke unhe yaad rakhna nahi padhta balke wo hamesha yaad rehte hai.