Bahar E Shari’at, Jild 4, Safah 48 – Hadees

*Kanzul Imaan Group *
_Bahar e Shari’at #_

*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله *ﷺ*

Huzoor e Akram ﷺ irshad farmate haiñ jo Namaz bhool jaaye ya usse so jaaye (Gaafil rahe aur Qaza kar de) to usse padhe jabh yaad aaye us ka koi kaffara nahi magar wahi.

*#Muslim Shareef*

*Masla* ~ Qaza e Umri ki niyat se *Shab e Qadr* ya *Akheer jumu’ah e ramzan* (Alwida jummah) mein jama’at se parhte hai aur yeh samajhte hai ke umr bhar ki qazaein ussi ek namaz se ada ho gayi, yeh baatil mahaz hai.

*#Bahar E Shari’at, Jild 4, Safah 48.*

Aaj kal social media par ek messsge bohat aam ho raha hai ke aakhiri jumma ko 4 rakat namaaz parhne se 700 saal ki namaaz qaza ho to bhi adaa ho jaaegi yeh mahez baatil hai uski koi haqeeqat nahi hai aur isse barhkar yeh jhoot baandhte hai ke yeh Hadees e Pak hai, mafoom e hadees e pak hai Huzoor ﷺ farmate hai jo mere naam se jhoot ko mansoob karey woh apna thikana jahannam mein talash karey. Jo log aisa message forward kiye hai unhein chaahiye ke tauba aur astagfaar karey, aur koi hamara bhai/behen aisa message forward karey to uski islaah farmaye.

*جَــزَاك اللــه خَيــرَالْجــزَاء*

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *