Falak Say Khak Pay Laya Gaya Hon
Kahan Khoya Kahan Paya Gaya Hon
Main Zewar Hon Uroos-e Zindagi Ka
Bade Tewar Say Pehnaya Gaya Hon
Nahi Arz Oo Guzarish Mera Shewa
Sada-e ‘Kun” Main Farmaya Gaya Hon
Bata Ay Inteha-e Husan-e Dunia
Main Behka Hon K Behka Gaya Hon
Mujhe Ye Tu Bata Ay Shidat-e Wisal
Main Lipta Hon K Liptaya Gaya Hon
Badan Beegha Hua Hai Mottiyun Say
Ye Kis Pani Say Nehlaya Gaya Hon
Agar Jana Hi Tehra Hai Jahan Say
Tu Main Dunia Mein Kyun Laya Gaya Hon
Ye Mera Dil Hai Ya Teri Nazar Hai
Main Tarpa Hon K Tarpaya Gaya Hon
Mujhe Ay Meharban Ye Tu Bata Day
Main Tehra Hon K Tehraya Gaya Hon
Teri Galliyun Say Bach Kar Chal Raha Tha
Teri Galliyun Mein Hi Paya Gaya Hon
Jahan Roki Gai Hain Meri Kirnay
Wahan Main Surat-e Saya Gaya Hon
ADEEM Ek Arzu Thi Zindagi Mein
Usi K Sath Dafnaya Gaya Hon