- Duniya ki khidmat ALLAH TAALA raza ke liye karo,
Kyun ke duniya se tumhe kuch nahi milega.
(Moulana Rumi rahmatullah alaih) - NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Sab se behtarien sadqa ye hai ke ek muslaman Ilm sikh kar dusre musalman ko sikhaye.
(Sunan e Ibne Majah,Hadith No:243) - Sunnat ke khilaaf karke salamati hasil nahi hosakti,
Aur ALLAH TAALA ko naraaz karke maqlooq ki raza hasil nahi ki jasakti.
(Hazrath Umar bin abdul aziz rahmatullah alaih) - Sabar ka Imaan me Wahi maqaam hai jo Sar ka Jism me hai.
(Hazrath Ali raziallahu taala anhu) - Jo Shakhs kisi Nemat par ALLAH TAALA ka Shukar adaa nahi karta to wo us Nemat ke zawaal ko dawat deraha hota hai.
(Hazrath Haris rahmatullah alaih) - NABI E KAREEM Sallallahu aliahi wasallam ne irshaad farmaya:
Miswaak Mu ki safayi aur ALLAH TAALA ki Razamandi ka zariya hai.
(Sunan e Nasai,Hadith no:5)Related Link :
HAZRAT ALI (R.A) k kuch kahi hui baatay
Hazrat Ali (RA)
Thanks, it is very informative