- ALLAH TAALA KA IRSHAAD HAI :
Aur kya hi behtar hain wo log jo namaz padhne wale aur zakaat dene wale aur ALLAH TAALA par aur Qayamat ke din par Imaan rakhne wale hain , yehi wo log hain jinhe hum bada ajar ataa karenge.
(Surah Al Nisa :162)
- Har maal ki zakat hoti hai aur ilm ki zakat ye hai ke us par amal kiya jaaye.
(Hazrath Nizam uddin Awliya rahmatullah alaih)
- NABI E KAREEM Sallallahu aliahi wasallam ne irshaad farmaya:
Jab tum Inteqaal karne wale ki Namaza e Janaza padh chuko to uske liye Khuloos e Dil se Dua kiya karo.
(Sunan e Abu Dawood,Hadith No:3199)
- Toufeeq ki nishani ye hai ke ALLAH TAALA ki ita’at kare aur Mardood hone se darta rahe,
aur Mahroomi ki nishani ye hai ke nafarmani kare aur maqboliyat ki umeed rakhe.
(Hazrath Sheik Khalifa bin mosa al-hazali rahmatullah alaih)
- Musibaton ke zarye ALLAH TAALA ki taraf se Bandon ka imtehaan bhi hota hai, jin par wo isteqamat aur Sabar se bande kamiyabi hasil karte hain to unhe Inaam aur Imaan ki Pukhtagi naseeb hoti hai.