NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Behtareen Sadqa ye hai ke tum kisi bhoke ko khana khilao.
(Shubul Imaan,Hadith NO:3367)
- ALLAH TAALA ke nazdeek Aafiyat talab karne se zyada koi sawaal Mahboob nahi.
(Jame Tirmizi, Hadith no:3515)
- Tum Apni Aoulaad ko Quraan e kareem ki Taleem sikhou, aur Quraan unhe Har cheez sikhadega.
- Hazrath Banda Nawaz rahmatullahi taala alaih farmate hain:
Rozana sone ke waqt Aadmi ko apne din bhar ke Amal aur Qaoul ka Jayeza lekar sona chahye…
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
ALLAH TAALA farmata hai:
Jo shakhs Quraan e kareem ki kasrat e tilawat ki wajeh se zikar aur dua na karsake to Main use Maangne walou se zyada ataa karta ho….
(Jame Tirmizi,hadith no:2926)