- Jab Dua mango to ye mat soncho ke ye qubool hogi ya nahi kyun ke Jab tumhe dua mangne ki toufeeq hui hai to qubul bhi zaroor hogi.
- Behtarien Amal Sabar aur maaf karna hai.
- Jo ALLAH ke kaamon me masroof hojata hai, ALLAH TAALA uske kaamon ko pura farmadeta hai.(Hazrath Abu Bakar Siddiq raziallahu taala anhu)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Hajar e Aswad JANNAT ka paathar hai.
(Sunan e Nasai,hadith no:2935)
- HAZRATH ZAIN UL AABEDEN raziallahu taala anhu ka KHOUF E ILAAHI ALLAH ALLAH ❤Hazrath Imaam Zain ul Abeden raziallahu taala anhu jab wuzu farmate to chehra e anwar peela padh jata,
Ghar wale puchte ke ye kya halat hai jo aap par wuzu ke waqt taari hojati hai?
Aap farmate:
Kya tumhe maloom hai ke Main kiske darbaar me Khada horaha ho?