- Sab Aamaal se Mahboob taren wo amal hai jiski bunyaad Ikhlaas par ho, isliye ke amal ikhlaas hi ki wajeh se faidamand hota hai.
(Hazrath Habeeb Ajami rahmatullah alaih)
- Beshak Allah Taala Har sadi ki ibteda me (ek hasti ko) is ummat ke liye bhejhta hai jo uske liye uske deen ki tajdeed karte hai.
(sunan e Abu Dauood,Hadees No:4293)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Mere parwardigaar ne Mujh se wada farmaya ke Meri Ummat ke 70 hazaar Afraad ko bagair Hisaab o Kitaab aur bagair Azaab ke Jannat me dakhil farmayega,
Aur har Hazaar ke saath 70 Hazaar logaou ko JANNAT me dakhil farmayega aur QUDRAT ke paso’aou se 3 pasoo logaou ko jannat me dakhil farmayega.
(Jame Tirmizi,Hadith No:2624)
Note: ALLAH TA’LA ne apne Mahboob aur khaas bandon ke liye khuskhabri sunayi ke wo bagair hisaab o kitaab ke jannat me dakhil hunge aur unki nisbat se digar Imaan walon par iski barkat zaher hogi…
SUBHANALLAH !
assalam o alaikum wa rehmatullah wa baraktahu .. i would like to knw which font u have used in ths dua http://ahlesunnatuljamaat.com/allahuma-ajirni-minan-naar/
Will check and update you InshaAllah