HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Beshak ALLAH TAALA ke bandon me se kuch aise hain na wo ambiya hain aur na wo Shuhada , baroz qayamat ALLAH TAALA ke paas unke maqaam wo martabe ki wajeh se Ambiya wo shuhada unki tareef karenge.
Sahaba ekraam raziallahuanhum ne arz kiya:
YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam wo kaun Hazraath hain?
HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
wo log sirf ALLAH ki RAHMATH o inayat ki wajeh se apas me Mohabbat rakhte hain, na to apasi rishtedari ki wajeh se aur na maali leen deen ki wajeh se !
ALLAH KI QASAM ! Yaqinan unke chehre had darje noorani honge aur wo noor (ke memberon) par hunge, jab log dar rahe honge, unhe koi khouf na hoga, jab log ghamzada honge, ye ghamgeen na honge,
aur HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne ye Aayat e Karima Tilawat farmayi :
Aayat e karima
Yaqinan ALLAH ke doston par na koi khouf hai aur na wo ghamzada honge.
(Sunan e Abu Dawood,Hadith No:3528)
Related Links :
Benefits of Reciting Ayat E Karima
AYAT-E-KAREEMA