Beshak momin ka sadqa mehsar ke din uske liye saya e rahmat hoga

Zakat & Sadaqah

sadaqah in islam

  • HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
    Main ne Tum me aisi cheez chodi ke jab tak tum use Mazbooti se pakde rahoge mere baad hargis gumrah na honge,
    ALLAH ki kitaab Quraan e Majid aur Mere Ahle Bait aur Meri Sunnat.
    (Jame Tirmizi,hadith no:4155)
  • HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
    ALLAH TAALA ne is Ummat ke liye Aasani ko pasand farmaya hai aur is par tangi ko na pasand farmaya hai, ye 3 martaba farmaya.
    (Al Moujamul Kabeer,Hadith No:707)
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
    Beshak momin ka sadqa mehsar ke din uske liye saya e rahmat hoga.
    (Musnad e Imaam e Ahmed;hadith no:18530)

    sadaqah in islam

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
    Jab tum me se koi Iftaar kare to khajoor ke saath kare aur khajoor na milne ki surat me paani ke saath iftaar kare kyun ke wo paak karne wala hai.
    (Jame Tirmizi,Hadith No:694)
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam (Maghrig ki ) Namaz se pehle Chand Taaza khajoron se Roza Iftaar farmate agar Taaza khajoren na hoti to khusk khajorou se roza iftaar farmate agar ye bhi na hoti to paani ke chand ghont noush farmate.

    (Jame Tirmizi,Hadith No:699)

  • Hazrath Umar Bin Khattab Raziallahu taala anhu ke zamane me log 23 Rakaat (20 Rakaat Taraweeh aur 3 Rakaat witar ) padhte the.

    (Muwatta Imaam Malik, Hadith No:251)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :
    Agar koi Madine Munawwara me inteqaal karsakta hai to usko Madine Munawwara me Marna chahye , Qayamat ke din Main Madine me Marne walou ki Shafa’at karonga.
    (Shubul Imaan ,Hadith no: 3884)
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :

    Jo MAKKAH Aur MADINE Me Inteqaal kare ALLAH TAALA unko Qayamat me Aman Paane walou me uthayega .
    (Baihaqi , Hadith No: 3994)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *