Best Quotes of Hazrat Ali (R.A.)

Quotes of Hazrat Ali R.A

Beautiful Hadiths

  • Hazrat Ali (R.A.) nay farmaya
    mujhe 3 cheezein buhat pasand hain:1: Mehmaan ki Khidmat.
    2: Garmi ka Roza.
    3: Dushman par Talwar.

     

  • Hazrat Ali R.A :JAB TUMHAIN KHUSYAN MILNY LAGAIN TOU 3 CHEZON KO NA BHOOLO:1)ALLAH KO.
    2)USKI MAKHLOOQ KO.
    3)APNI ASSLIAT KO!
  • Hazrat Ali R.A :”Koi aaina insaan ki itni sachi tasveer nahi paish kar sakta jitni ki uski guftagoo paish karti hai.”
  • Hazrat Ali R.A:Gareeb par ehsan karo kyun ke gareeb hone main waqt nahi lagta.
  • Hazrat Ali R.a :Bura dost koiley ki tarah hota hai, jab garam hota hai to haath jala deta hai aur jab thanda hota hai to haath kaale kar deta hai.
  • Hazrat Ali R.A :Jis shaks ne apna raaz kisi ko bata diya wo us ka mohtaaj ho gaya.
  • Hazrat Ali R.A :Insaan Apni Toheen Muaaf Kar Sakta Hai Bhool Nahi Sakta…
  • Hazrat Ali R.A :Maut ko hamesha yaad rakho magar maut ki arzu kabhi na karo…
  • Hazrat Ali R.A :Duniya Tumhain Us Waqt Tak Nahi Hara Sakti Jab Tak Tum Khud Se Na Haar Jao…
  • Hazrat Ali R.A :Insan Gunah Karne Ki Wajah Se Jahanum Mein Nahi Jata Bal Ke Gunah Per Mutmaen Rehny Aur Tauba Na Karney Ki Wajah Se Jahanum Mein Jata Hai..
  • Hazrat Ali R.A :Agar Tum Use Na Pa Sako Jise Tum Chahte Ho, To Use Zarur Pa Lena Jo Tumhe Chahta Hai
    Q Ke Chahne Se, Chahe Jane Ka Ehsas Ziada Khubsurat Hota Hai…
  • Hazrat Ali R.A :3 Insan 3 chezon se mehroom rahenge1.Ghusay wala Durust faisly se
    2.Jhoota Izzat se
    3.Jald baaz Kamyabi se.
     
  • Kisi ne Hazrat ALI R.A se poocha:”Dost aur bhai main kya farq hai?”Aap ne farmaya:
    “Bhai sona (Gold) hai aur dost heera (Diamond) hai.”

    Us aadmi ne kaha:
    “Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti cheez se kyon tashbeeh di?”

    To aap ne farmaya: “Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar aa jaiy to woh kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.’

     

Comments

comments

One thought on “Best Quotes of Hazrat Ali (R.A.)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *