NABI E KAREEM ﷺ ne irshaad farmaya:
ALLAH TAALA ke kuch farishte zameen par phirte hain jo sab zikar ki mehfilon se guzarte hain to ek dusre ko kehte hain ke yaha baitho aur jab zikr karne wale dua maangte hain to wo farishte unki dua par Ameen kehte hain aur jab wo NABI E KAREEM ﷺ par Durood bhejhte hain to wo farishte unke saath milkar Durood bhejhte hain yaha tak ke wo alag alag hojate hain phir farishte ek dusre ko kehte hain in khush nasibon ko khushkhabri aur saadat hai ke baqshish ke saath wapas jarahen hain.
(Al Targheeb,Al Qawl ul Badee,pg:218)
Aye ALLAH ! Hame har us cheez ke qareeb farmade jisme Aapki Aur Aapke Habeeb ﷺ ki Razamandi Hasil ho…
Ameen !!
Durood ibrahimi :
Related Links:
Durood
Durood Sharif
we also provide an authentic book on Durood Shareef in Urdu pdf.
you can easily download: http://www.dislamicbooks.com/2016/03/durood-shareef-duaen.html