*Dosti Aur Saccha Dost*
*Hazrat ALI*
_Dosti kerna itna aasan hai jaise mitti se mitti per mitti likhna,_
_Lekin dosti nibhana itna mushkil hai jaise pani se pani per pani likhna._
*Hazrat ALI*
_Jo zara si baat per dost na rahe wo dost tha hi nahi._
*Hazrat ALI*
_Jis ko aise dost ki talaash ho jis me koi khami na ho use kabhi bhi dost nahi milta._
*Hazrat ALI*
_Mujhe wo dost pasand hai, jo mehfil me meri galtiyaan chupaye aur tanhai me mujhe meri galtiyaan bataye_
*Hazrat ALI*
_Kabhi apne dost ki sacchai ka imtehaan na lo, Kya pata us waqt wo majboor ho aur tum galat fehmi me ek accha dost kho baitho_
*Hazrat ALI*
_Duniya us ko yateem samajhti hai, Jis ke maa baap na ho Lekin main us ko yateem samajhta hoon, jis ke acche dost na ho._
*Hazrat ALI*
_Jo tumhara ghussa bardasht kare aur saabit kadam rahe to wo tumhara saccha dost hai._
*Hazrat ALI*
_Jis insaan me wafadaari na ho, us ke saath dosti kerne ka matlab khud ko zaleel kerna hai_
*Hazrat ALI*
_Logon se yaad karne ka shikwa mat karo, Kyun ke jo insaan apne ALLAH ko bhool sakta hai woh dost ko bhi bhool sakta hai._
*Hazrat ALI*
_Dost ko daulat ki nigah se mat dekho, Wafa karne wale dost aksar gareeb hote hai._
*Hazrat ALI*
_Dosti un se karo jo nibhana jante ho, Nafrat un se karo jo bhulana jante ho, Ghussa un se karo jo manana jante ho._
*Hazrat ALI*
_Dosti ki zeenat (khubsurti) ek doosron ki baat ko bardasht kerna hai._
*Hazrat ALI*
_Accha dost chahe kitna bura ban jaye, kabhi us se dosti mat todo, Kyun ke pani chahe kitna bhi ganda ho jaye, aag bujhane ke kaam aata hai._
Hazrat ALI
_Musibat ke waqt yeh na socho ke Kaun sa dost kaam aayega,Balke yeh socho ke ab kaun sa dost chod ker jayega._