- Neik logon ke saath rehne wala kabhi nakaam wo namuraad nahi hota hai.(Hazrath sheik Shahaab uddin seharwardi rahmatullah alaih)
- Dua bala ko taal deti hai.(Al Jame Al Saghir)
- Hasad karne wale ke liye yahi saza kaafi hai ke jab tum khush hote ho to wo ghamgeen hojata hai.
(Hazrath Ali raziallahu ta’la anhu)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Khane aur pine par shukar adaa karne wale ka darja Roza rakh kar sabar karne wale ki tarah hai.
(Sahih BUkhari)
- Tauba karne wal’on ki suhbat me baitho kyu ke wo sab se zyada narm dil hote hain.
- Jo shakhs qarzdaar ko muhal’lat(time) de ya qarz maaf karde to Allah taala usko qiyamat ke din ki sakhtiyaon se mahfooz rakhega.(Sahih Muslim)
- ALLAH TA’L ke nazdeek behtaren naam ABDULLAH aur ABDUL RAHMAN hai.(Sahih Muslim)