Dua Ibadat ka magz hai

Dua Ibadat ka magz hai
  • ALLAH TAALA ka irshaad hai:Tum Mujhe Yaad kiya karo Main tumhe yaad rakhonga aur Mera Shukar adaa kiya karo, aur Meri Na shukhri Na kiya karo!

    (Surah Al Baqarah:152)

    Image may contain: text

  • Hazrath Anas raziallahu taala anhu farmate hain:Meri walida mujh ko HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ki qidmat e Aqdas me lakar hazir hui, aur arz kiya:
    YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam! Ye Anas mera beta hai, Main aapke paas isko Aapki qidmat ke liye laayi ho, Aap ALLAH TAALA se iske liye Dua farmaye:

    NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
    Aye ALLAH iske maal aur Aoulaad ko zyada farmade!

    Hazrath Anas raziallahu taala anhu bayan karte hain:
    ALLAH ki Qasam! Mera maal bahut zyada hai, aur aaj meri aoulaad aur aoulaad ki Aoulaad 100 ke qareeb hai.

    (Sahih Muslim,pg:298)

  • Ambiya Ekram ka zikar karna Ibadat hai, aur Aouliya wo Salihen ka zikar karna gunahou ka kaffara hai.(Kanzul Ummal, hadith no:32247)
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Ahle Jannat ke sar par aise Taj honge jinka chote se chota moti bhi Mashriq wo maghrib ke darmiyan ki chizou ko roushan kardega.(Jame Tirmizi,Hadith no:2562)
  • HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Beshak ALLAH TA’LA ka ek farishta hai jiske 2 par hain, ek mashriq aur dusra maghrib me,Jab koi banda mohabbat bhare andaz me mujh par durood bhaijhta hai to wo paani me gouta lagata hai phir apne par jhaadhta hai,

    To ALLAH TA’LA uske har qatre se ek farishta paida farmata hai jo mujh par Durood padhne wale ke liye qayamat tak istighfaar karta rahega.

    (Al Qawl Ul Badee,pg:213)

  • Jisme 3 Aadaten ho samjho ke wo ALLAH TA’LA se Mohabbat rakhta hai.1) Darya ki tarah sakhawat2) Suraj ke jaisi shafaqqat

    3) Zameen ki tarah Inkesaari wo tawazu

    (Hazrath Khaja Ghareeb Nawaaz Rahmatullah alaih)

     

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *