- Insaan ka dil khush karna aur uski dil joui aur rahat rasani Afzal tareen amal aur ALLAH TAALA ke Taqarrub ka behtaren zariya hai.(Hazrath Khwaja Nizaam uddin Aouliya rahmatullah alaih)
- Deen ki Doulat ALLAH unhe ataa farmata hai jinhe wo mahboob rakhta hai.
- Dua ke waqt kisi gunah ka khayal dil me laane ke bajaye ALLAH ki rehmat par nazar rakhni chahye.
(Hazrath Nizam Uddin Awliya rahmatullah alaih)
- Ghamgeen dil aur Nam Aankhen ALLAH ke qareeb kardeti hai.
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Shaban mera mahina hai ,
jis kisi ne Shaban ke mahine ki Tazeem ki Yaqinan usne mere hukum ki Tazeem ki ,aur jisne mere hukum ki Tazeem ki to MAIN Qayamat ke din uske liye kaam banane wala aur Bhalayou ka zakhira rahunga.
(Baihaqi ,Shubul Imaan ,hadith no:3813)
masha allah