- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Qasam ALLAH ki! Duniya Aakhirat ke muqable me itni si hai tum me se koi apni ungli samandar me daale phir nikale aur dekhe ke us ungli par kitna paani laga hai.(Sahih Muslim,hadith no:7197)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Musalman ko bimari ki wajeh se ALLAH TA’LA uske gunah is tarah khatam kardeta hai jis tarah aagh sone aur chandi ke mail kucail ko khatam kardeti hai.(Sunan e Abu Dawood,hadith no:3092)
- Momin ki nishani ye hai ke aise logou ki suhbat me rahe jin se deen ki islah ho.(Hazrath Usman e Ghani raziallahu taala anhu)
- Har cheez apne sahi waqt pe hi hasil hoti hai to chahye ke yaqeen aur sabar se kaam le, Beshak ALLAH Sabar karne walon ko pasand farmata hai…
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Tum me sab se zyada mahboob aur qayamat ke din mere qareeb baithne wale wo log hain jo tum me se aqlaaq me ache hai.(Jame Tirmizi, Hadith no:2018)