Durood-e-Paak

DAROOD SHARIF
  • Ek Martaba HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam se arz kiya gaya:

Wo jo Aap par Nazdeek se durood bhaijhte hai, Dur se Durood bhaijhte hai, aur baad me aane wale bhi bhaijhinge, kya ye sab Durood Aapko Pesh kiye jate hain ?

HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

” MAIN AHLE MOHABBAT KA DUROOD KHUD SUNTA HU AUR UNHE PEHCHANTA HU ”

(Dalailul Khairaat,pg:49)

  • Hazrath Imaam shafai rahmatullah alaih farmate hain:
    NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam par Durood e Shareef padhna har halat me pasand karta ho magar Juma ke din aur Juma ki raat ko bahut zyada pasand karta ho.
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    “Aye logo! Beshak baroz-e-Qayamat iski dehsataun aur hisab kitab se jald najat paane wala shakhs wo hoga jisne tum me se mujh par dunya ke ander ba kasrat Durud Sharif padhe honge. ”

    (Al firdous bemasoor-ul-khataab, Vol.5,P:277,hadith no: 8175)

 

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *