- HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Beshak ALLAH TAALA ka ek farishta hai jiske 2 par hain, ek mashriq aur dusra maghrib me,
Jab koi banda mohabbat bhare andaz me mujh par durood bhaijhta hai to wo paani me gouta lagata hai phir apne par jhaadhta hai,
To ALLAH TAALA uske har qatre se ek farishta paida farmata hai jo mujh par Durood padhne wale ke liye qayamat tak istighfaar karta rahega.
(Al Qawl Ul Badee,pg:213)
- Apne bacchon aur ghar walon ko bhalayi ki taleem do aur unki tarbiyat karo!(Jami ul Ahadees,Hadith No:33822)
- Apni raat is haal me na guzaro ke tumhare dil me kisi ke liye burayi, kina, dushmani ho,Jo tum par zyadati kare tum uske haq me Dua e khair karo.
(Hazrath Ghuose Azam raziallahu taala anhu)
- NABI E KAREEM Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya:”Aye logo! Beshak baroz-e-Qayamat iski dehsataun aur hisab kitab se jald najat paane wale sakhs wo honge jisne tum me se mujh par dunya ke ander ba kasrat Durud Sharif padhe honge. ”
(Alfirdous bemasoor-ul-khataab Vol.5 P.277. Hadith No: 8175)
- Ek Shakhs ne arz kiya:YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam! Agar mai apna tamaam waqt Aap par Durood padhne me laagado?
NABI E RAHMAT Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Tab to ALLAH TAALA tumhari duniya aur Aakhirat ki mushkilen Aasaan farmadega.(Musnad Imaam Ahmed)