- HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jo shakhs Eid ke din 300 martaba “SUBHANALLAHI WA BIHAMDIHI” padhe aur Musalmanou ki rooh ko iska sawaab baqshe to har musalman ki qabar me ek hazaar Noorani Rahmaten dakhil hoti hai aur jab ye padhne wale shakhs ka inteqaal hota hai to ALLAH TAALA iski qabar me ek hazaar Noorani Rahmaten dakhil farmayega.
(Mukashifat ul Quloob,pg:650)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Tumhari apni Eid ke din Dunba Zabah karne ke tumhare amal se tumhara parwardigaar khush hota hai.
(Shubul Imaan,hadith no:7085)
- ALLAH TAALA ne Surah Kausar me Qurbani karne ka hukum Irshaad farmaya:To Aap apne Rab ke liye Namaz padhye aur Qurbani kijiye.
(Surah Al Kausar:2)
- Qurbani ka na gost ALLAH TAALA ko puhanchta hai aur na khoon likin tumhara Taqwa uski baargah me baaryaab hota hai.(Surah Al Haj:37)
- Hazrath Ali raziallahu taala anhu farmate hain:Qurbani ke din 3 hain aur inme afzal pehla din hai.
(Kanzul Ummal,hadith no:12676)
- NABI E RAHMAT Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Eid ke din sab se Behtar dirham wo hai jo Zabah kiye jane wale jaanwar me kharch kiya jaye.
(Shubul Imaan,hadith no:7084)
- ALLAH TAALA ka irshaad hai:Tum Neki ko nahi paasakte yaha tak ke us cheez se kharch karo jis se tum Mohabbat karte ho.
(Surah Aale Imraan:92)