- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Momin Apne bhai ke liye Aaine ki tarah hota hai, Ek Momin Dusre momin ka bhai hota hai jo apne bhai ke nuqsan ko dur karta hai aur uski hifazat karta hai.
(Al Adab Al Mufrad,pg:147) - NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jo meri ummat me bigadh ke waqt Meri Sunnat ko Mazbooti se thame rakhega uske liye ek shaheed ka sawaab hai.
(Tabrani,Hadith no:5572) - Hadees : Farman-e-Nabi (Sallalahu Alahi Wasallam) Hai Ke,
“Jis Ne Meri Sunnat Ko Zinda Kiya, Usne Mujh Se Mohabbat Ki aur Jis Ne Mujh Se Mohabbat Ki, Wo Jannat Me Mere Saath Hoga”
– (Tirmizi Kitabul Ilm H#2678 : - Sahaba Ekraam raziallahu taala anhum jab Masjid e Nabawi shareef me Dakhil hote to Member Nabawi shareef par haath phairte aur Dua karte.
(Musannaf Ibne Abi shaiba, vol:2,pg:121) - Dunya ki Mohabbat khatam hone ke baad ALLAH TAALA ki Rahmatou ka nuzul hota hai, ALLAH TAALA use apna muqarrab banaleta hai.
(Hazrath Sheik Abdul Qader Jilaani Rahmatullah Alaih)