Fazail e Arfa

Huzoor NABI e RAHMAT Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

Jab Arfe ka din hota hai to ALLAH TAALA Asmaan e Duniya par Nuzul e Ijlaal farmata hai aur farishtou ke saamne maidan e Arafat me jama hone walou par faqr farmata hai aur Irshaad farmata hai:
Aye Farishto! Tum mere bandou ko dekho ke wo meri baargah me paraganda baal, gard Aalod chehrou me dur daraz tang aur kushada raastou se chal kar yaha hazir hain, Tasbeeh wo tehleel,zikar wo talbiya karte hue mujhe pukaar rahe hain,
Aye Faristo! Tum gawah raho Main ne un sab ko baqsh diya,
Ye sunkar farishte Arz karte hain:
PARWARDIGAAR! Unme falan mard aur falan Aourat bhi hai jo gunahgaar hain,
HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Ye sunkar ALLAH TAALA irshaad farmata hai:
Suno! Main ne (nekou ke saath) unko bhi baqsh diya hai,
Ye farmakar HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Kisi aur din dozaq se itne bandou ko rehayi nahi milti jitne bandou ko Arfa ke din Dozaq se rehayi milti hai.
(Zujajatul Masabeh,Hadith no:105)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *