Gazwah Qandaq and the war strategy by Prophet Muhammed ﷺ

Kuffar Quraish ki qazwah E Ahad ke baad aur himmatein badh gai – Inho nay Makkah jakar bade faqr o garoor ke lahje main kaha ke Ahad main Badr ki shikast ka hum ne ek hadtak badla le iya. Hamza (Razi Allahu Taala Anhu) jaise namoor bahadur ko qaaq o khoon main miladiya. Khudh Mohammed (ﷺ) Ibne Abdullah (Razi Allahu Taala Anhu) hamare chungal main aagai the. Magar inke zaqm patharau ne Ibne Abdullah(Razi Allahu Taala Anhu) ke chere ko laho lahaan kardiya tha magar sahabau inke sahabi bhi jaan nisaari main apna jawaab nahi rakte.

Hum Muhammad (ﷺ) ki taraf phenkte toh ek Ansari Muhammad ko bachana ke liye teer ko apne seene par rokleta. Aur Ayhaa-a-la quan! Musalman aurtau tak ne us ladayi main badi pa mardi aur bahaduri ka saboot diya. Teer baras rahe the, talwarein chaqa-chaq chal rahi thi aur yeh aurtain mashkeze bhar bhar kar apni pethau par lad kar le jaate, pyase sipahiyau ko paani pilate aur zakhmiyau ki marham patti kartein. Isi andaa`z ki ek aadh ladai aur hogai toh musalmaan ki-tar-ki tamam samjho.

Hum Quraish ke dushman ka qila qama kiye bagair chain se nahi bait sakte, yeh hamari khandani gairat ka mamla hai, hum thak kar bait gai toh duniya kya kahe gi? Yahi ke qasi jaise na mor sardar ki aulad ne har manli. Hamari tamam pichli tariq Shujaat par pani phir jaye ga. Hum ais ana hone denge.

Qazwah qandaq isi Silsila ki ek kadi thi. Rasool Allah ne Hazrath Farsi (Razi Allahu Taala Anhu) ke mashware se Qandaq khodne ka hukm diya. Sahaba ((Razi Allahu Taala Anhuma) ne Qandaq khodna shuru ki aur kudh Rasool Allah bhi is main shareek hogai. Chasm Aaftaab ne aisa manzar ka hai ko dikha hoga ke aqleem hidayat o saadat ka Shahenshah mazdoor ki tarah zameen khod raha tha. Kahan hai mazdoor ki falah woh bahbood ki iskimain tayyar karte hain. In aish pasandau ko mazdoor ke dukh dard ki kya qabar! Mazdoor kya hota hai aur mazdoorau par kya guzarti hai, iski kaifiyat Gazwah Qandaq ki us muqaddas mazdoor se pooch, jis ne Irshaad Farmaya:

“mazdoor ka paseena qaskh hone se pehle uski mazdoori chukado”

Qandaq khodte main ek bhari pathar aagaya. Sahaba (Razi Allahu Taala Anhuma) ne lakh koshish ki, magar who pathar tis se mis na hua. Hazrath Salman ne Huzoor ﷺ ki kidmat main us waqiya ki itilah di. Huzoor ﷺ ne kudal ki zarb jo us pathar par lagai toh ek hi zarb main who pathar re-za-re-za hogaya. Pathar se raushini namudaar hoi aur musalmaanau ne apni ankhau se dekha ke Misr, Iran, aur Shaam ki sarhadein saaf nazar aarahi hai. Tariq apne ko dohrakar maazi ko haal banadiya karti hai aur yahan haal ke aai-ne mainmustaqbil jhalak raha tha. Yeh Faizaan Naboowat tha. In bhedau ko har koi samaj sakta. Yeh kaifatein har kis o na kis ke qalb par ward nahi hua kartein.
Yeh qudrath ki dain aur Allah ka fazl tha. Aqal kahegi ke is ke liye daleel lao. Yeh kaise hosakta hai. Insaan ki halaat aur kaifiyat main itna gair mamooli farq nahi hua karta. Hum kahte hai ke us “tafaawat” ke liye waliyau ke liye dalailau ki bhi koi kami nahi hai. Nahi dekte hoke ek hi bag ki ek hi kiyari main qulaab aur dhatoore ke do paude paida hote hai, koyle aur here ki kimyawi anaasir main koi farq nahi hota. Lekin ek choole main jalaya jata hai aur ek badshah-au ki tajau ki zeenath banta hai. Ambiya-E-Kraam ko aam aadmiyau par qyaas na karo.

Gazwah Qandaq main bhi kuffar Quraish ko nakaami ka muh dekhna pada aur unki tadbeerein kuch kaam na aasakein. Kaferau ka qayaal galat nikla ke Ohad ki jang ke baad Musalmaanau ki himmatein past nahi toh sarasema aur matwo-hash zaroor hogai hogi. Magar inhone mahsoos kiya balke aazmakar dekhliya ke Musalman pehle se aur zyada mazboot aur mustakam hogai hai. Har takrau aur tasadam ke baad Islaam ke nasha kam nahi balke aur tez hojata hai.

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *