NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Mujhe farz Namaz ke alawa Nafil Namaz ghar me padhna zyada pasandida hai.
(Sunan e Ibne Majah,hadith no:1378)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
ALLAH TAALA kisi cheez ko aise pyaar aur Mohabbat se nahi sunta jitna ke wo us bande ki awaaz ko jab ke wo khush ilhani se Quraan padhe.
(Sahih Muslim,hadith no:1839)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Logou par ek aisa zamana aayega ke insaan koi parwah nahi karega ke jo usne hasil kiya hai wo halaal hai ya haraam se hai.
(Sahih Bukhari,hadith no:2059)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Ghibat aur chugli imaan ko is tarah kaat deti hai jistarh charwaha darakht ko kaat deta hai.
(Al Targheeb wal Tarheeb,hadith no:28)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jis din log Rabul Aalamen ke saamne khade honge apne aadhe kanou tak pasine me dube hue honge.
(Sahih Bukhari,hadith no:1461)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jo Maghrib ke baad 6 rakaat padhe aur darmiyan me koi (duniyawi baat na kare)to use 12 saal ki ibadat ke barabar sawaab milega.
(Sunan e Ibne Majah,pg:81)
Related Links:
NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam
Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam