Insan ka apne Dushman s inteqam ka sb sy acha tariqa ye he k wo apni khubiyon me izafa kre ‘Hazrat Ali (R.A)
1-Wo gunah jis ka tumhein ranj ho,
Allah k nazdeeq us nayki se behtar hai
jis se tum main ghuroor paida ho jaye”.
( Hazrat ALI R.A )
———–
2 -Kisi ne Hazrat ALI R.A se poocha:
“Dost aur bhai main kya farq hai?”
Aap ne farmaya:
“Bhai sona hai aur dost heera hai.”
Us aadmi ne kaha:
“Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti cheez se kyun tashbeeh di? “To aap ne farmaya:
“Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar aa jai to wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.’
———–
3-Ager kisi ka zaraf azmana ho to usko ziada izat do
Wo ala zaraf hua to ap ko aur izzat dey ga
or kam zaraf hua to khud ko AALA ZARAF sumjhey ga
( Hazrat ALI R.A )
———–
4-Hazrat ALI R.A Ka Frman Hai:-
“Bura Dost Aag Ki Manind Hai”
“Ager Jalta Hoga To Apko Jala Dega”
“Or Ager Bujha Hoga To Ap Ke Haath Kale Ker Dega”
———–
5-Aazmaye Hue Ko Azmana Bewakufi Hai.
( Hazrat ALI R.A )
———— —
6-Logon Ki
Zaroratoon Ka
Tum Se Wabasta
Hona Tum Per
ALLAH Ki
Enayath Hai.
(Imam Hussain R.A)
———— ——— –
7-Hazrat ALI R.A Says
Apne Dushman Ko 1000 Dafa Moqa Do Ke Woh Tumhara Dost Ban Jaaye
Per Apne Dost Ko 1 Bhi Moqa Na Do Ke Woh Tumhara Dushman Baney
———–
8-sab se bada gunaah wo hai jo karne walay ki nazar me chota ho
( Hazrat ALI R.A )
———–
9-Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho.
[HAZRAT ALI (R.A)
———–
10-Jab meri DUA khubool ho tu mein khush hota hoon
k is main meri marzi hai aur
Jub kubool na ho tu mein aur khush hota hoon
k ye ALLAh ki marzi hai
( Hazrat ALI R.A )
———–
11-IKHTIYAR, TAAQAT aur DAULAT
aisi cheezain hain jin k milney say loog
badaltey nahin BAYNAQAB hotey hain( Hazrat ALI R.A )
———-
12-Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho,
to tum usey door se dekh rahe ho,
Ya phir gharoor se dekh rahe ho
( Hazrat ALI R.A )
———–
13-Allah k nazdek sab say ziada gunah gaar chez jhoot bolney wali zuban hai.
(Hazrat Ali R.A)
————
14-GULAB KA PHOOL BANO!KYUN KE YEH PHOOL US KE HAATH MAIN BHI KHUSHBOO CHOOD DEYTA HAI JO ISEY MASAL KAR PHAINK DEYTA HAI.”HAZRAT ALI R.A”
———— ——— —
15-Mujhe Jannat se ziada
Masjid mein baitna Achcha Lagta hai
kyun ke
Jannat mein mera NAFS khush ho ga
jab ke Masjid mein mera RAB khush ho ga.
Fermaan Hazrat ALI R.A
———–
16-Main Jannat K Shouq Main ebadat Nahi Karta,
K Ye Ebadat Nahe Tijarat Hai
Main Dozakh K Khoof Say Ebadat Nahe Kerta,
K ye Ebadat Nahe.Ghulami Hai…
Main Ebadat Sirf Is Liye Kerta hoon…
K Mera RuB ebadat K LayeQ Hai……. ( Hazrat ALI R.A )
———–
17- Ek Shakhs Ne Hazrat ALI R.A Sey Poocha,
Q: Qarib Kya Hai?
A: Qyamat
Q: Or Qareeb Ter?
A: Maut
Q: Ajeeb Kya HAi?
A: Duniya
Q: Aur Ajeeb Tar?
A: Talib-e-Duniya
Q: Wajib Kya Hai?
A; Touba
Q: Or Wajib Tar?
A: Gunah K Fauran Baad Touba
Q: Mushkil Kya Hai?
A: Qaber Mein Utrna
Q: Or Mushkil Tar?
A: Amal K Bagair Utherna
———–
18-Apni zuban ki tezi us per mat azmao jis ne tumhen bolna sikhaya ( Hazrat ALI R.A )
———–
19-“Sub se Ziyada Kamzoor AADMI wo hai Jo DOST ko HAASIL karne me Naakaam ho,Aur us se bhi Ziyada Kamzoor Wo hai Jo Haath aai huwe DOST ko chod de”( Hazrat ALI R.A )
———–
20- “2 cheezein saari zindegi kaam ayeengi,
1 = Ghussey ki halat mein koi faisla math karo!
2 = Khushi ki haalat mein koi wada math karo!
( Hazrat ALI R.A )
———-
21-Insaan Bhi kitna Ajeeb Hai,
Jab kisi Cheez se Daarta Hai to Us se Door Bhagta Hai.
Jab ALLAH Sy Darta Hy to Us k Or Qareeb Ho Jata Hai.
( Hazrat ALI R..A )
———–
22-Duniya Daroon ki Sohbat ikhtyar Na karo Q Ke Agar tum Tang-dast huwe to ye tumhe Chood Dengey aur agar tum Daulat-mand huwe to Tum se Hasad karne lageengay.( Hazrat ALI R.A )
———–
23- Acha Dost Kitni Dafa Hi Kiyon Na Rut Jaye Usey Mana Lena Chahiye!
Kiyon K Tasbi K Daney Kitni Dafa Hi Kiyon Na Bikhrein Chun Liye Jate Hain!( Hazrat ALI a.s )
———–
24- “Yeh na socho k ALLAH dua fauran qabool kyun nahi karta,
yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaah hoon ki saza fauran nahi deta..”
( Hazrat ALI RA )
———–
25-4 Batain Elm Ka NIchour Hai,
1.) ALlah Ki Itni Ebadat Karo Jitni Tumhain ALLAH Ki Zarorat Hai.
2.) ALlah Ki Nafermani Itni Karo Jitna Allah K Azaab Per Saber Ker Saktey Ho..
3.) Dunya K Liye Itna Amal KAro Jitna K Tumhain Dunya Mian Rehna Hai,,
4.) Aakhrat K Liye Itna AMal Karo Jitna K Tmhain Wahan Rehna Hai….!!!
( Hazrat ALI R.A )
———— ——–
26-Burey main kisi ka sath dena Ghatiyapan aur khuda key saath badiyanti hay.( Hazrat ALI R.A )
————
27-kisi ki madad kartey waqt us k chehre ki janib math dekho, ho sakta hai us ki sharminda aankhen tumharey dil main ghuroor ka beenj bo dain.( Hazrat ALI R.A )
————
28-“Golden Words”
“Her INSAN ki izat aur uss sey mohabat karo,Kion k her INSAN k ander KHUDA ki koi na koi sift zaroor maujood hoti hai”
( Hazrat ALI R.A )
————
29-“Ebadat aisi karo jiss sey tumhari ROOH ko maza aye Q k jo Ebadat duniya mai maaza na dey woh Akhirat mai kia jAGAH degi”… .( Hazrat ALI R.A )
———–
30-Barish ka Qatra Seep aur Saanp dono ke Mooh mein Girta hai
Lekin SEEP usay MOTI Aur Saanp usay Zeher bana deta hai
jis ka jesa Zarf wesi uski Takhliq
( Hazrat ALI R.A )
————
31-Tum acha karo aur zamana tum ko bura samjhe
ye tumaray haq main behtar hai
Bajaye es k tum bura karo aur
zamana tum ko acha samjhe
( Hazrat ALI R.A )
————
32-Jahan Sadaaqat aur Khuloos Nazar Aaye Wahaan Dosti Ka Hath Badhao Warna Tumhari TANHAI Tumhari Behtreen Saathi Hai.
( Hazrat ALI R.A)
————
33-Bey shakh duniya aur akhirat ki misaal
aise hai jai sey 1 shakshs ki 2 biwiyaan
hoon 1 ko razi karta hai to dosri roth
jati ha
HAZRAT ALI(R.A)
———— ——— —
34-neekh ki subath ikhtiar karo neekh ban jao gey, buroon ki subath se perhaiz karo badi se door ho jao gey.(Hazrat Ali R.A)
————
35-“3 kaam kisi k dil main aap ki izzat badahatey hain:
1- Salam karna.
2- Kisi ko jagah dena.
3- ASAL NAAM SE PUKARNA.”
(HAZRAT ALI R.A)
————
36-Achi zindagi guzaar ney k 2 tareeqey hain.
¤ Jo pasand hain usay hasil ker lo ya Phir
¤ Jo hasil hain usay pasand ker lo.
(HAZRAT ALI R.A)
————
37-3 Insan 3 cheezoon se mehroom rahenga
1.Ghussay wala Durust faisley se
2.Jhoota Izzat se
3.Jald baaz Kamyabi se.
(Hazrat Ali R.A)
————
38-Ager Tum Usey Na Pa Sako Jise Tum Chahte Ho,Tou Usey Zaoror Pa Lena Jo Tumhe Chahta Hai !!
Q Ke Chahne Se, Chahe Jane Ka Ehsas Ziada Khubsurat Hota Hai.
HAZRAT ALI (R.A)