- Hadees!
Tum Me Se Ek Shakhs Gunah Karta Hai
Aur Is Ka Gunah Nama Amaal Me Likh Dia Jata Hai,
Phir Wo Tauba-o-Astaghfar Karta
To ALLAH TA’ALA use Muaf Kar Deta Hai!
Aap ﷺ Ne Yeh Irshad 2 Bar Farmaya,
Phir Farmaya Ke Jab Tak Tum Tauba-o-Astaghfar Se Na Uktao
To ALLAH TA’ALA Muaf Karne Se Nahi Uktata.” Tibrani - Insaan ki kaamiyabi in 3 chezou ke bagair mukammal nahi hosakti..
1) Gunah ke baad Touba karna,
2) Musibatou par sabar karna,
3) Nemat par shukar adaa karna. - NABI E KAREEM ﷺ ne irshaad farmaya:
Meri Ummat ke tamaam logou ke gunah ALLAH TAALA baqshdega siwae un logou ke jo gunah karke logou ko faqar se batayen ke hum ne ye gunah kiya hai.
(Sahih Bukhari,hadith no:6069) - Aye Imaan walo ! ALLAH TAALA se Daro! Jis tarah us se darne ka haq hai aur Islaam ki halat par hi Duniya se rukhsat hojaou.
(Surah Aale Imran:102)
Gunah e Kabira :
Taqat kay bawajood Haj na karna
Walaedaen ki nafarmani karna
Qareebi rishtey daaron sey qata’a ta’alluq kar lena aur sila rehmi na karna
Zina karna
Amal e qom e loot
Soodi laen daen
Yateem ka maal khana
Allah aur Rasool per jhoot bolna
Maedan e jang sey farar
Hakim e waqt ka re’aya ko dhoka dena aur unn per zulm karna
Ghamand karna aur deengein marna
Jhooti gawahi dena
Sharab peena
Jua baazi
Paakdaman aurton per tohmat lagana
Maal e ghaneemat mein khayanat karna
Chori karna
Daaka dalna
Jhooti qasam khana
Zulm o zyaditi karna
Ghunda tax wasool karna
Haram khana
Khudkushi karna
Aksar baton mein jhoot bolna
Allah kay qanoon sey hutt kar faisla karna
Faisla karney per rishwat lena
Jins e mukhalif ki mushabihat ikhtiyar karna
Dayyoosi ikhtiyar karna yani apney ghar walon mein akhlaqi buraee (zina) ko bardaasht karna
Related Links :
zina
Gunaho Ko Maaf Karane Waali Namaz