Gunah ki Maghfirat

Qur'an and Sunnah
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

Jab ALLAH TAALA kisi bande ko koi nemat ataa farmata hai aur wo banda uspar ALHAMDULILLAH kahe, to jo nemat usne hasil ki hai us se behtar diya jayega.

(Sunan e Ibne Majah,hadith no:3805)

  • Sabar karne wale hamesha kamiyaab hote hain isliye tumhe chahye ke sabar karen.

    (Hazrath khawaja Usman haroni rahmatullah alaih)

  • Ache insaan ki nishani ye hoti hai ke wo aise insaan ki bhi izzat karta hai jinse ise koi madad ki umeed na ho…
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Jab koi qoum ALLAH TAALA ke Zikr ke liye baithti hai, to farishte unko gher lete hain, Aur Rehmat unko dhaanp leti hai, aur ALLAH TAALA Farishton ke saamne unka zikar farmata hai.

    (Sahih Muslim,hadith no:6855)

  • Jisne Quraan padha aur apne rab taala ki tareef ki aur NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam par Durood padha aur apne rab se maghfirat talab ki to usne khair ko uski jagah se talash karliya.

    (Baihaqi shubul Imaan)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Musalman ko bimari ki wajeh se ALLAH TAALA uske gunah is tarah khatam kardeta hai jis tarah aagh sone aur chandi ke mail kucail ko khatam kardeti hai.

    (Sunan e Abu Dawood,hadith no:3092)

 

 

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *