Hadees E Shareef

hadees
  • Hazrath ALI Raziallahu taala anhu ne farmaya:

    Main Quraan ki Har Aayat ke baare me janta ho ke wo kiske baare me kis jagah aur kis par nazil hui , Beshak Mere Rab ne Mujhe Bahut zyada samjh wala dil aur Fasih Zabaan Ataa farmayi hai.

    (Hilyatul Aouliya,vol:1,pg:68)

  • Hazrath Abdullah bin Abbas raziallahu taala anhuma farmate hain :

    ALLAH TAALA ne Bani Israiel se unki Badshahat AMBIYA EKRAAM Alaihimussalaam ke saath unke bure sulook ki wajeh se cheenli, Aur Beshak ALLAH TAALA is Ummat se uski Badshahat ko ALI Raziallahu taala anhu ke saath bugz ki wajeh se cheenlega.

    (Sunan e Dailami,hadith no:1384)

  • Hazrath Jaber bin Abdullah raziallahu taala anhu farmate hain:

    ALLAH ki Qasam ! Hum HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ke zamane me apne andar munafiqeen ko Hazrath Ali raziallahu taala anhu se Bugz ki wajeh se hi pehchante the.

    (Al Moujamul Aousat,hadith no:4151)

  • Galat baat par gussa aana sharafat ki nishani hai likin gusse ko pijana momin ki nishani hai.

    (Hazrath Ali raziallahu taala anhu)

  • HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    ALLAH TAALA ne Shab e Meraj Wahi ke zarye mujhe Ali ki 3 sifaat ki khabar di,

    1) Wo Tamaam Momineen ke sardaar hain,

    2) Muttaqeen ke Imaam hain

    3) Aur Qayamat ke din Noorani Chehre walon ke Qaa’ed honge.

    (Al Moujamul Saghir,vol:2,pg:88)

  • 3 Aise Khushnaseeb hain jo Qayamat ke din Arsh ke saye ke niche honge, jis din siwaye Arsh ke saye ke koi saya na hoga.

    1) JIsne kisi mere Ummati ki takleef ko dur kiya,
    2) Jisne meri sunnat ko zinda kiya,
    3) AUR JISNE MUJH PAR KASRAT SE DUROOD BHAIJHA.

    (Al Qawl ul Badee,pg:232)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *