Hadees Sharif

Hadees Sharif

Jisne ALLAH ke liye jhukna sikhliya wahi ilm wala hai,
Kyun ke, Ilm ki pehchan aajizi hai aur jahil ki pehchan takabbur hai.
(Hazrath Umar e Farooq raziallahu taala anhu)

Mere sahaba ke bare me meri hifazat karo (unki izzat wo
ehteraam karo ) (aur unlogaou ki izzat wo ehteraam karo )jo
unke baad aane wale hai phir unlogaou ki jo unke baad aane
wale hai (Sunan e ibne maajah,hadith no:2363)

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Duniya se be raghbati Dil aur Jism dono ko SUKOON bakhshti
hai. (shubul Imaan,hadith no:10536)

Hazrat Hassan Bin Saabit Raziallahu taala anhu farmate Hain:
“Jab Andheri Raat Mein HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam Ki Peshaani mubarak Zaahir Hoti To Tareeki Ke Roshan Chiragh Ki Manind Chamkti.
(Zarqani Al-Mawahib,Pg 91, Jild 4)

Aur ALLAH ki raah me kharch karo aur apne hi hatou se khud ko halakat me na daalo, aur neki ikhteyaar karo, beshak ALLAH neik logou se Mohabbat farmata hai,(Surah Al Baqarah:195)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *