Hadiths – Jo kisi musibatzada ko tasalli deta hai to ALLAH TAALA

  • Hazrath Abu Mosa Asaari raziallahu taala anhu farmate hain:

Jis kisi ko ALLAH TAALA se koi hajat ho wo farz Namaz ke baad us se maange wo ataa farmayega

(Kanzul ummal,vol:2,pg:109)

  • Jab banda apne Rab ke liye Taqwa Ikhtiyaar karta hai ,To ALLAH TAALA use aur Hidayaton ki taraf rehnumayi farmata hai,To jaise jaise wo apne Taqwe me Izafa karta hai to uski hidayatou me bhi izafa hota rehta hai..
  • Jo kisi musibatzada ko tasalli deta hai to ALLAH TAALA use bhi (musibatzada)ke jitna sawaab ataa farmata hai.(Jame Tirmizi,hadith no:1075)
  • Jab tak tumhe Mout ne muhallat de rakhi hai tum neik amaal me ek dusre se aaghe badhne ki kosish karte raho is se pehle ke mout aajaye aur neik amal karne ka mouqa na mile.(Hazrath Abu Bakar Siddiq raziallahu taala anhu)
  • ALLAH TAALA apne bande ke sab se zyada qareeb Raat ke aakhri hisse me hota hai, agar tum us waqt ALLAH ka zikr karne walon me shamil hosakte hain to zaroor ho.(Jame Tirmizi, Hadith No:3579)
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Mere ghar aur member ke darmiyan ka hissa jannat ke baghon me se ek baagh hai aur mera member mere houz par hai.

    (Sahih Bukhari,Hadith no:1138)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *