Haj ko kya cheez wajib karti hai?

Haj
  • Jo shakhs har khair ke kaam ko ALLAH TAALA ki taraf se jaanta hai aur ye samjhta hai ke us ache kaam ki toufeeq ALLAH TAALA ne Mujhe di hai, aur ache kaam karne par apne nafs ki taraf se na samjhe to wo takabbur se mahfooz rehta hai.

    (Hazrath Sheik Abdul Qadir Jilaani raziallahu taala anhu)

  • Ek Saheb NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki khidmat e Aqdas me hazir hokar arz guzar hue:

    YA RASOOLALLAH Sallallahu aliahi wasallam! Haj ko kya cheez wajib karti hai?

    HUZOOR sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Tousha e Safar aur sawari.

    (Jame TIrmizi,Hadith no:818)

  • Hazrath Abu Bakar Siddiq raziallahu taala anhu farmate hain:

    NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam par SALAAM bhaijhna Gulaam azaad karne se AFZAL hai.

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Jis shakhs ke paas zabah karne ke liye Jaanwar ho wo jab maah e zilhajja ka chand dekhe apne baal na nikale aur na nakhun taraashe, yaha tak ke qurbani karle.

    (Sahih Muslim, Hadith no:5236)

  • HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Musalman ka sab se acha sadqa ye hai ke Khud Ilm sikhe aur apne musalman bhai ko sikhaye.

    (Sunan e Ibne Majah)

  • Insaan ke 3 dushman hain:

    1) Duniya 2) Shaitaan 3) Nafs

    Duniya se Taqwe ke zarye bacho,
    Shaitan se uski mukhalifat karke,
    Nafs se khaheshat ko chodh kar.

    (Hazrath Yahiya bin Muaaz rahmatullahi taala alaih)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *