Hajj k din zohar or asar k darmiyan 1000 bar Surah Ikhlas Padhne ke badh jo dua mangen wo qabool ho gi. . .
Surha Ikhlas kay Fazail
Rozana 300 dafa bawazu parhnay sa 9 faiday hasil hotay hain
- Allah 300 darwaazay (Doors) ghazab kay band kare ga. Maslan dushmani, Qehr,Fitna, wagihra
- 300 darwazay rehmat kay khole ga
- 300 darwazay Rizq kay kholey ga. Allah apnay ghaib sa rizq day ga begar mehnat kay.
- Allah Pak apnay Ilm sa Ilm ( knowledge ) day ga. Aur apnay Sabr (Patience) sa Sabr aur apni samj sa samj day ga.
- 36 Martaba Qur’an Sharif khatam karnay ka sawab day ga
- 50 sal kay gunah maaf hon gay
- Allah pak Janat (Heaven) main 20 Mehl day ga. Jo yakut, Marjan aur zamrud kay banay hon gay. Har mehl main 70000 darwazay ho gay
- 2000 Rikat Nafal parhnay ka sawab day ga
- Jab maren (DEATH) gay to jinazay (funeral) main 110000 farishtay shamil hogay
Assalamualaikum
Ye Maine pahli Baar Suna hai.
Kya ye koi Hadees hai ya kisi ulama ne ya phir kisi maulana ne Kahi hai?
Please AAP is Ko toda clarify karen
Shukriya
Waalaikum Salaam
Sorry for delay in response
It is called Aqwal-E-Zami which means it is narrated by Ulamas’ and it is not having any ref from Hadees.
JazakAllah
Hajj ka konsa din saudi arab wala ya pakistan wala
Saudi Arabia wala Din Haj Ka Din hota hai