Hamare Imaam Husain raziallahu taala anhu

Hamare Imaam Husain raziallahu taala anhu
  • HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne HASNAIN KARIMAIN raziallahu taala anhuma se mutaliq irshaad farmaya :

    Ye dono mere shehzade hain aur meri Shehzadi ke Shehzade hain , Aye ALLAH ! Main in dono se Mohabbat karta ho , To bhi in dono se Mohabbat farma , aur jo shakhs inse Mohabbat rakhe usko apna mahboob banale.

    (Jame Tirmizi ,Hadith no :4138)

  • Jab jism mout ke liye hai to ALLAH ki raah me shaheed hona sab se behtar hai.

    (Hazrath Imaam Husain raziallahu taala anhu)

  • Ab tak lakhou badhshah aaye aur qayamat tak aate rahinge likin jaisi dilou par badshahat Hazrath Imaam Husain raziallahu taala anhu ne ki hai aisi badshahat na koi kiya hai aur na qayamat tak koi karsakega.
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Hamare ye dono shehzade (Hasan aur Husain raziallahu taala anhuma) Jannat ke noujawanou ke sardaar hain,

    unka dost hamara dost aur unka dushman hamara dushman hai.

    (Sunan e Ibne Maajah,Hadith no:143)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam Hazrath Imaam Husain raziallahu taala anhu ko apne mubarak khande par uthaye hue the,

    Sahabi raziallahu taala anhu ye dekh kar bole:
    Aye Sahebzade! Aap kitni behteren sawari par sawaar ho,

    HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Sawaar bhi to kitna Behteren hai.

    (Jame TIrmizi,Hadith no:3784)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *