HAMZA BIN ABDUL MUTALLIB Raziallahu Taala Anhu

  • Hazrath Jaber raziallahu taala anhu ne farmaya:Hamare qabile ke ek saheb ko ladka tawallud hua, to unho ne Arz kiya ke is ladke ka kya naam rakha jaye?

    HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Mujhe Sab se zyada Mahboob jo naam hai wahi is ladke ka naam rakha jaye! (Mujhe sab se pasandida naam )” HAMZA BIN ABDUL MUTALLIB ” raziallahu taala anhu ka hai.
    (Al Mustadrak Alas Sahihen,hadith no:4876)

  • Duniya se Mohabbat rakhoge to hargis kamiyabi naseeb na hogi.(Hazrath Sheik Abdul Qader jilani raziallahu taala anhu)
  • ALLAH TAALA se Faida mand ilm ka sawaal karo, aur befaida ilm se ALLAH ki panah mango.(Sunan e Ibne Majah,hadith no:3843)
  • Hamare liye saadat wo najaat ka zariya yehi hai ke hum apne dilou ko Hazraath e Ahle bait Ekraam ki Mohabbat se Aabaad karen aur Sahaba Ekraam ki Mohabbat se apne dilou ko Roushan wo munawwar karen,Kyun ke yehi wo Muqaddas Hazraath hain, jo hamari Najaat ka bhi zariya hai aur hamare liye Hidayat ka meyaar bhi hai.
  • Yaqeen rakho! Beshak jo ALLAH ka hojata hai , ALLAH uska hojata hai.

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *