- Hazrath Anas (رضي الله عنه) se riwayat he ki Rasool e Kareem (صلى الله عليه و سلم) ne irshad farmaya ki (Meraj ki rat me) Jab mai Jannat ki sair kar raha tha to Mera gujar ek nehar par hua jiske dono taraf kholdar moti ke Gumbad the. Maine pucha Jibrail ye kya he? Unhone kaha “Ye kausar hai jo aapke parvardigar ne aapko diya hai. Mene dekha ki us ki mitti nihayat khushbudar khalis mushk ki hai (Bukhari Sharif)
- Hazrath Abdullah Ibne Amra (رضي الله عنه) se riwayat hai ki Sarkare Akdas (صلى الله عليه و سلم) ne irshad farmaya ke Mere Hauz-E-Kausar ki badhai Ek Mahina (ka Rasta) hai uske 4 kone barabar hai, Uska pani doodh se ziyada safed aur mushk se ziyada meheknewala hai. Uske kuje chamak aur jyatdi me Aasman ke taro ki tarah hai. Jo shaks usme se piyepa fir kabhi pyasa na hoga.
- Hazrat Anas (رضي الله عنه) se riwayat he ki maine Huzoor Akdas (صلى الله عليه و سلم) se Darkhwast ki ke Qayamat ke din meri Sifarish farmayi jaye. Sarkar ne farmaya me karunga. Mene kaha Ya Rasoolallah ! Me aapko kaha khojunga?Sarkar ne farmaya Pehle mujh ko Pulsirat pe khojna. Mene kaha agar Huzoor Pulsirat pe na mile to aapne farmaya Mijaan par, mene kaha agar huzoor Mijan par bhi na mile.Aapne farmaya Fir Hauz-E-Kausar par Mai in 3 Jagaho ko nahi chodunga. Yani in jagaho me se kisi 1 jagah jarur milunga (Tirmizi)
Hazrat Auf ibne Malik Radiallahu anhu se riwayat he ke Nabi-E-Kareem (صلى الله عليه و سلم) ne irshad farmaya: “Mere pas Allah Ta’ala ki tarafse 1 farishta aaya to usne muze ikhtiyar diya ki Ya me meri aadhi (Half) ummat jannat me jaye Ya me Shafa’at ko ikhtiyar karu. To maine Shafa’at ko Manzoor kiya. Meri Shafa’at har us shaks ke liye hogi ki jo is hal mein mare ki usne kisi ko Allah Ta’ala ka Sharik na mana ho:’
- Surah Kausar Ki Fazilat Wazifa