Haya in islam

haya islam
  • Ek Saheb HUZOOR Mohammed Mustafa ﷺ ki baargah e Aqdas me arz kiye:

Meri ye arz hai ke ALLAH TAALA Qayamat ke din bandon ke saamne ruswa na kare,

HUZOOR ﷺ ne irshaad farmaya: Apni Ismat (Izzat) ki hifazat karo ALLAH TAALA tumhe bandon ke samne ruswa nahi farmayega. (Kanzul Ummal,hadith no:44154)

  • Shaitan sab se pehle insaan ki haya ko nishana banata hai taake jab uski haya chali jaye to aasani se gunah karsake…
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Haya Imaan ka hissa hai aur Imaan Jannat me lejane wala hai, Jab ke behayi zulm hai aur zulm jahannum me lejane wala amal hai. (Jame Tirmizi,hadith no:2009)
  • ALLAH TAALA ko touba karne wale noujawaan se zyada koi mahboob nahi. (Kanzul Ummal,Hadith No:43108)
  • Aur Tum Behayai ki cheezou ke qareeb mat jaou, unse jo zahir ho aur jo poshida ho.(Surah Al Ana’aam:151)

    Note : ALLAH TAALA ne is aayat e karima me kisi ek burayi se nahi roka balke tamaam aqsaam ki qouli wo feli burayou , alaniya aur poshida tour par ki jane wali badkariyou se is andaaz me mana farmaya ,un barayou ka karna to dur uske qareeb bhi mat jaou..

    Related Links :
    A Beautiful Hadith
    Haya (Sharam)bhi Imaan ka ek hissa hai
    HAYA IMAAN KA EIk HISSA HAI 

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *