Hazrat Abdullah Bin Umar Radhiyallahu Anhu se riwayat hai ki Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya :
Qayamat ke din jab tum log jama hoge, to us waqt ailaan kiya jayega is ummat ke fukraa aur maskeen kahan hai ? (isi ailaan par) wo khade ho jayenge! Unse pucha jayega : Tumne kya A’maal kiye the?
Wo kahenge: Hamare rab! aapne hamara imtehan liya humne sabr kiya! Aapne humare alawa dusre logon ko maal aur hukumrani di!
Allah Ta’ala farmaynga : Tum sach kehte ho!
Aap ﷺne irshad farmaya : Wo log jannat mein aam logon se pehle dakhil ho jayenge aur hisab wo kitab ki sakhti maaldaron aur hukumdaron ke liye reh jayegi!