Hazrat Ali R.T.A Ka Farman

HAZRAT ALI R.T.A KA FARMAN

Hazrat Ali RTAH ne farmaya, ” Insan ka apne Dushman se inteqam ka sab se acha tariqa ye he ki wo apni khubiyon me izafa kare ‘Hazrat Ali (R.A)

1 – Wo gunah jis ka tumhein ranj ho,
Allah ke nazdeeq us nayki se behtar hai
jis se tum main ghuroor paida ho jaye”.

2 – Kisi ne Hazrat ALI R.A se poocha:
“Dost aur bhai main kya farq hai?”
Aap ne farmaya:
“Bhai sona hai aur dost heera hai.”
Us aadmi ne kaha:
“Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti cheez se kyun tashbeeh di? “To aap ne farmaya:
“Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar aa jai to wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.’

3- Ager kisi ka zaraf azmana ho to usko ziada izat do
Wo ala zaraf hua to ap ko aur izzat dey ga
or kam zaraf hua to khud ko AALA ZARAF sumjhey ga

4-Hazrat ALI R.A Ka Farman Hai:-
“Bura Dost Aag Ki Manind Hai”
“Ager Jalta Hoga To Apko Jala Dega”
“Or Ager Bujha Hoga To Ap Ke Haath Kale Ker Dega”

5-Aazmaye Hue Ko Azmana Bewakufi Hai.
( Hazrat ALI R.A )

6-Hazrat ALI R.A farmaya “Apne Dushman Ko 1000 Dafa Moqa Do Ke Woh Tumhara Dost Ban Jaaye Per Apne Dost Ko 1 Bhi Moqa Na Do Ke Woh Tumhara Dushman Baney”

7-sab se bada gunaah wo hai jo karne walay ki nazar me chota ho

8-Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho.

Related Link:
Hazrat Ali (RA) – Life Of Muslim

Comments

comments

One thought on “Hazrat Ali R.T.A Ka Farman

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *