☪☪❇❇☪☪❇❇☪☪
FAZAIL E QURAAN
ART 01
ISHQ E NABI ﷺ
☪☪❇❇☪☪❇❇☪☪
AHADEES E MUBARAKA
HADEES 1:
♓AZRAT SHADDAAD BIN OOS رضي الله عنه se riwayat hai k jo musalman leyt’te huye (yaani sone se pehle) kitaab ullah ki koi surah padh leta hai to ALLAH TA’ALA usper ek farishta muhafiz muqarrar kar deta hai wo farishta kisi aziyat dene waali cheez ko uske paas nahi aane deta yahaan tak k jab tak wo musalmaan bedaar hota hai us waqt wo farishta bhi apni khidmat se sabakdosh hojata hai.
(Daarimi)
HADEES 2:
HAZRAT ABDULLAH BIN OMER رضي الله عنه se riwayat hai k jis shaks ne QURAN ko padha to beshak uske dono pehluon k maabeen nabuwat ka istedraaj hogaya magar faraq ye hai k usper wahi nahi bheji jaati, SAHIB UL QURAAN ko ye baat shayaan shaan nahi k wo jadd karey aur jahalat karne waale k sath jahalat karey halaanke uska seena QURAN se munawar ho.
(Haakim)
HADEES 3:
HAZRAT ANAS رضي الله عنه se riwayat hai k jis ghar mein QURAN padha jaata hai us mein khaer o barker ki kasrat hoti hai aur jis ghar mein QURAN nahi padha jaata uski khaer o barkat ghat jaati hai.
(Jizaar)
HADEES 4:
HAZRAT IBNE OMER رضي الله عنه ki hades naqal ki gayi hai k 3 shaks ko sakht khaof (qayamat k hungame) ka kuch dar na hoga aur na usse hisaab pucha jaayega balke wo makhlooq ka hisaab hone se faraghat k waqt take k mushk k teley par khade rahenge, minjumla unkey ek wo shaks jisne mehez khuda k waastey QURAN E MAJEED padha hai aur us qiraat ki haalat mein aesi qaom ki imamat ki hai jo usse raazi hai.
(Tirmizi)
JAARI HAI InSha ALLAH…
⤵ POST CREATED BY
ⓂUHAMMAD YOUSUF SHAREEF CHISHTI
⏬ TALIB E DUA
⏪ “عشقِ نبي ﷺ”
ℹshq e Nabi ﷺ
fb.com/ishq.e.nabi1
youtube.com/c/IshqENabi1