- Hazrath Abu Mosa Ashaari raziallahu taala anhu farmate hain:
Jis kisi ko ALLAH TAALA se koi hajat ho wo farz Namaz ke baad us se maange wo ataa farmayega (Kanzul ummal,vol:2,pg:109)
- Ummul Mominen Hazrath Ayesha Siddiqa raziallahu taala anha farmati hain:
NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam Andhere me bhi is tarah Dekhte jis tarah Roushni aur ujale me dekhte hain.
(Baihaqi,hadith no:2326)
- 3 chezou par amal karo zindagi behtaren hogi.
1) Quraan
2) Sunnat
3) Nasihat
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Neki Insaan ki umar ko zyada karti hai.
(Mustadrak,hadith no:5610)
- Nafs ki Dusrustagi Sakhti aur Azmaish me hoti hai.
(Hazrath Ghouse Azam raziallahu taala anhu)
- (Aye Mahboob sallallahu alaihi wasallam)! Beshak hum ne Aapko Haq ke saath Khushkhabri sunane wala aur dar sunane wala banakar bhaijha hai.
(Surah Baqarah:119)
- Hazrath Imaam Zain ul Abeden raziallahu taala anhu jab kisi aise shakhs ko dekhte Jo bimari se shifa yaab hochuka hota tha to Aap us se farmate:
Tumhe gunahou se pakizgi Mubarak ho Ab naye sire se Aamaal karo.